Wednesday, August 29, 2007

wo pani ki laharon pe kya likh raha tha

wo pani ki laharon pe kya likh raha tha,
khuda jane harf-e-dua likh raha tha.

likha jisney nawal wafa ka adhura,
wohi pyar ki inteha likh raha tha.

bhala karte karte guzri jawani,
magar phir bhi khud ko bura likh raha tha.

mohabat mein nafrat mili thi usay bhi,
jo har shakhs ko bewafa likh raha tha.

zara b us ki aankhon se aansu na niklay,
wo jis waqt lafz-e-saza likh raha tha.

namaz-e-mohabat mein wo apnay hue thay,
jo sajday qaza likh raha tha