Sunday, April 22, 2007

Pareksha ki pratiksha !!!

Har chhae(6) maaha mein aate hai
Phir hume bada satate hai
har bacche ke hoothe se
hassi wo le jaate hain
jaane parikshaa kyun aata hai
jaane parikshaa kyun aata hai

subha utho aur padai karo
phir bhi kuch nahi aata hai
jaane parikshaa kyun aata hai
jaane parikshaa kyun aata hai

girl friend se milne ka
time nahi mil pata hai
ghoomna phirna khana pina
sab band ho jaaat hai
jaane parikshaa kyun aata hai
jaane parikshaa kyun aata hai

par mere yaaro ghabrna kaisa
ye to ek sapna hai
jo aa ta hai darata hai
par jo bhi ho result to thik hi aata hai
jaane parikshaa kyun aata hai
jaane parikshaa kyun aata hai



So be happy and enjoy exam !!!

Utkarsh Singh and Ankur jain

4 comments:

Tapasya said...

You two have made a big gender blunder in the poem...pariksha is a feminine word...pariksha aati hai(aata nahi)
Good thoughts though.
:)

Ut...................... said...

Reply[@tapasya]
Ek zaroori suchnaa
sabhi jan sadhaaran ko yah suchit kiya jata hai ki hamare blog ki ish paridhi me sirf hindi pratikriya manya hai.ish liye aap apni pratikriya hindi me hi darz kare.
jaha tak pariksha ke ling nirnay ka prashn hai to aap kavita ka shirshak dekhe.aapko gyaat ho jaayega ki hamne parikhaa ko stri-ling roop me hi liya hai,par baad me kavita ke panktiyon ko tukaant bananey ke liye hamne ling ke saath kuchh zaroori pher badal kiya hai.yadi aap kavyatri hai to kavita ke ish aashay ko zarror samjhengi.aur is par kadachit dhyan nahi dengi.

aditi said...
This comment has been removed by the author.
aditi said...

hmmm....is kavita par kuch vichar aur sambandhit jaankari..
kavita mein ek sabd aesa hai jismein mein hindi ka prayog nhi hua hai...aesa kyun?:p
jisne jyada likha hai is kavita mein ..usse pariksha se dar nhi lagta ,vo subah nhi uthta kyunki subah sota hai pariksha mein,3 tessre para(panktiyon ke dher?) adhik acha laga :)aakhri para ki aas dilana bhi acha hai:)

par yeh kisse samndhit likha hai ?

haan yeh sach jaane pariksha kyun aata hai?
par acha hai ki aake chalta jaata hai:)
par chuttiyon ke baad milne ka mauka deta hai...
ghar pe akele padai mein paknese bachata hai..
iske jaane par college khatam ho jaata hai..
jaane pariksha kyun aata aur kyun jaata hai:)